Jaani... aaj hamari subah ka aagaaz kisi aam nashte se nahi, balki garma-garam upma se hua. Aur kitchen mein hamari mataji? Ek haath se gas par karchhi chala rahi thi aur dusre haath se... apna mobile! Unka yeh multitasking dekh kar toh hum bhi dang reh gaye.
Khair, nashta bante hi humne use is tezi se nipataya, ki bartan bhi dekhte reh gaye. Phir humara rukh hua cinema ki taraf. Chaar September ko Mirzapur ka bhaukal aaya, aur paanch September ko hum use apni aakhon mein qaid karne nikal pade.
Bahar mausam aashiqana kam aur dushman zyada lag raha tha. Baadlon ki poori koshish thi humein rokne ki, par Jaani... tufaan ko maat dena toh hamari purani aadat hai. Aakhir apne chahne walon ke liye ek naya nazaara jo lana tha!
Hum jaise-taise wahan pahunche zaroor, par wahan ek aisa bhayankar kaand ho gaya... jiske baare mein humne khwabon mein bhi nahi socha tha. Ab wo kaand kya tha? Ye raaz toh... Part Two mein hi khulega.
Agar aisi hi dumdaar aur alag-alag aawazon mein video chahte ho, toh neechay comment karke batao... agli aawaz kiski ho?
Jai Hind... Jai Bharat... aur yaad rakhna Jaani, Part Two jaldi aa raha hai.